raat tehriroon ki ab yaksar khayaali ho gai
lafz jab jaage ibaarat bhi niraali ho gai
anaginat chehre the shehr-e-dil mein lekin kya kahoon
waqt ka saaya pada basti ye khaali ho gai
jin ka ik ik lafz tha muzda naye mausam ke naam
haif un safhaat ki soorat bhi kaali ho gai
dil ke mahbas se chale the qafile yaadon ke par
ik kiran palkon ki sooli par sawaali ho gai
hum-safar shaistagi thi rahguzar-e-zeest mein
phir bhi jis se baat ki har baat gaali ho gai
haadson ki dhund se fankaar ne jis ko gadha
shukr hai us but ki peshaani ujaali ho gai
kaise is mausam ko daur-e-gul kahoon umeed main
rang se mahroom jab ik ek daali ho gai
रात तहरीरों की अब यकसर ख़याली हो गई
लफ़्ज़ जब जागे इबारत भी निराली हो गई
अनगिनत चेहरे थे शहर-ए-दिल में लेकिन क्या कहूँ
वक़्त का साया पड़ा बस्ती ये ख़ाली हो गई
जिन का इक इक लफ़्ज़ था मुज़्दा नए मौसम के नाम
हैफ़ उन सफ़्हात की सूरत भी काली हो गई
दिल के महबस से चले थे क़ाफ़िले यादों के पर
इक किरन पलकों की सूली पर सवाली हो गई
हम-सफ़र शाइस्तगी थी रहगुज़ार-ए-ज़ीस्त में
फिर भी जिस से बात की हर बात गाली हो गई
हादसों की धुँद से फ़नकार ने जिस को गढ़ा
शुक्र है उस बुत की पेशानी उजाली हो गई
कैसे इस मौसम को दौर-ए-गुल कहूँ 'उमीद' मैं
रंग से महरूम जब इक एक डाली हो गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed
our suggestion based on Ali Abbas Ummeed
As you were reading Good night Shayari Shayari