ta'alluqaat ki garmi na e'tibaar ki dhoop
jhuls rahi hai zamaane ko intishaar ki dhoop
gham-e-hayaat ke saaye muheeb hain warna
kise pasand nahin hai khayaal-e-yaar ki dhoop
abhi se amn ki thandak talash karte ho
abhi to chamki hai yaaro saleeb-o-dar ki dhoop
alam ki raahguzar par bahut hi kaam aayein
tumhaari yaad ki shamaein hamaare pyaar ki dhoop
kamand daal den suraj pe aao mil-jul kar
ab aur tez na hone den rozgaar ki dhoop
labon pe mohr jigar khoon-chakaan nazar hairaan
ab aur kaise jalaayegi ye bahaar ki dhoop
tumhaare shehar ki shaida-b-dast yaadon ko
talash karti rahi dil ke kohsaar ki dhoop
bahut qareeb hain saaye hayaat-e-nau ke umeed
bahut hi jald dhalegi ab intizaar ki dhoop
तअ'ल्लुक़ात की गर्मी न ए'तिबार की धूप
झुलस रही है ज़माने को इंतिशार की धूप
ग़म-ए-हयात के साए मुहीब हैं वर्ना
किसे पसंद नहीं है ख़याल-ए-यार की धूप
अभी से अम्न की ठंडक तलाश करते हो
अभी तो चमकी है यारो सलीब-ओ-दार की धूप
अलम की राहगुज़र पर बहुत ही काम आईं
तुम्हारी याद की शमएँ हमारे प्यार की धूप
कमंद डाल दें सूरज पे आओ मिल-जुल कर
अब और तेज़ न होने दें रोज़गार की धूप
लबों पे मोहर जिगर ख़ूँ-चकाँ नज़र हैराँ
अब और कैसे जलाएगी ये बहार की धूप
तुम्हारे शहर की शैदा-ब-दस्त यादों को
तलाश करती रही दिल के कोहसार की धूप
बहुत क़रीब हैं साए हयात-ए-नौ के 'उमीद'
बहुत ही जल्द ढलेगी अब इंतिज़ार की धूप
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed
our suggestion based on Ali Abbas Ummeed
As you were reading Gulshan Shayari Shayari