rooh ki baat sune jism ke tevar dekhe
iltijaa hai ki vo is aag mein jal kar dekhe
tum vo dariya ki chadhe bhi to ghadi bhar ke liye
main vo qatra hoon jo gir ke bhi samundar dekhe
chubhta maahol ghuti rooh gurezaan lamhe
dil ki hasrat hai kabhi un se nikal kar dekhe
ek naqshe pe zamaana raha hangaam-e-visaal
sheesha-e-jism mein sau tarah ke manzar dekhe
kaise kar le vo yaqeen tujh pe fareb-e-gham-e-zaat
teri raahon mein jo tashkeek ke patthar dekhe
baat ho sirf haqeeqat ki to sah le lekin
apne khwaabon ko bikharte koi kyunkar dekhe
ham se mat poochiye kya nafs pe guzri ummeed
ek ik saans se ladte hue lashkar dekhe
रूह की बात सुने जिस्म के तेवर देखे
इल्तिजा है कि वो इस आग में जल कर देखे
तुम वो दरिया कि चढ़े भी तो घड़ी भर के लिए
मैं वो क़तरा हूँ जो गिर के भी समुंदर देखे
चुभता माहौल घुटी रूह गुरेज़ाँ लम्हे
दिल की हसरत है कभी उन से निकल कर देखे
एक नक़्शे पे ज़माना रहा हंगाम-ए-विसाल
शीशा-ए-जिस्म में सौ तरह के मंज़र देखे
कैसे कर ले वो यक़ीं तुझ पे फ़रेब-ए-ग़म-ए-ज़ात
तेरी राहों में जो तश्कीक के पत्थर देखे
बात हो सिर्फ़ हक़ीक़त की तो सह ले लेकिन
अपने ख़्वाबों को बिखरते कोई क्यूँकर देखे
हम से मत पूछिए क्या नफ़्स पे गुज़री 'उम्मीद'
एक इक साँस से लड़ते हुए लश्कर देखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed
our suggestion based on Ali Abbas Ummeed
As you were reading Paani Shayari Shayari