main to ik lamha-e-pareeda raha | मैं तो इक लम्हा-ए-परीदा रहा

  - Ali Abbas Ummeed

main to ik lamha-e-pareeda raha
jaane kyun vo bahut kasheeda raha

roo-b-roo zikr-e-na-shunida raha
uth gaya to mera qaseeda raha

main bhi banda hi tha khuda ki qasam
ye alag hai ki barguzeeda raha

aur to koi gham na tha us ko
bas meri chaah mein tapeeda raha

shab ki peshaani ka main jhoomar tha
kya hua gar hawa-guzida raha

mere hisse mein us sahife ka
ik varq tha wahi dareeda raha

koi ummeed bar na aati thi
zindagi bhar sitam-raseeda raha

मैं तो इक लम्हा-ए-परीदा रहा
जाने क्यूँ वो बहुत कशीदा रहा

रू-ब-रू ज़िक्र-ए-ना-शुनीदा रहा
उठ गया तो मिरा क़सीदा रहा

मैं भी बंदा ही था ख़ुदा की क़सम
ये अलग है कि बरगुज़ीदा रहा

और तो कोई ग़म न था उस को
बस मिरी चाह में तपीदा रहा

शब की पेशानी का मैं झूमर था
क्या हुआ गर हवा-गुज़ीदा रहा

मेरे हिस्से में उस सहीफ़े का
इक वरक़ था वही दरीदा रहा

कोई उम्मीद बर न आती थी
ज़िंदगी भर सितम-रसीदा रहा

  - Ali Abbas Ummeed

Partition Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Abbas Ummeed

As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed

Similar Writers

our suggestion based on Ali Abbas Ummeed

Similar Moods

As you were reading Partition Shayari Shayari