qaza ke saath chale zindagi ke badle mein
mili na chaanv bhi ahl-e-amal ko raaste mein
jawaab-e-shahr-e-khamoshaan har ek basti hai
gulaab khilte nahin ab kisi dariche mein
gham-e-hayaat ki paighambraana ulfat ko
na jaane kab se basaaye hue hain seene mein
pahunch chuke hain yaqeen ki hudoos mein phir bhi
larz rahe hain qadam saath saath chalne mein
shu'ur-e-zeest ki alhad kiran nazar aayi
hayaat-e-nau ke simtate hue dhundlake mein
tumhaare qurb ki vo sa'at-e-haseen ab bhi
ravaan hai saath mere yaad ke safeene mein
har ek saans soo-e-kahkashaan badhi lekin
qadam bhatkte rahe umr bhar andhere mein
nikal ke mahbas-e-shab-rang se junoon waale
aseer hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein
kare jo azm-e-safar us ko ye khabar kar do
ki ik padaav hain ham is taveel mele mein
baha jo subh-e-bahaara ki justuju mein umeed
usi lahu ka hai partav har ik shagoofe mein
क़ज़ा के साथ चले ज़िंदगी के बदले में
मिली न छाँव भी अहल-ए-अमल को रस्ते में
जवाब-ए-शहर-ए-ख़मोशाँ हर एक बस्ती है
गुलाब खिलते नहीं अब किसी दरीचे में
ग़म-ए-हयात की पैग़म्बराना उल्फ़त को
न जाने कब से बसाए हुए हैं सीने में
पहुँच चुके हैं यक़ीं की हुदूद में फिर भी
लरज़ रहे हैं क़दम साथ साथ चलने में
शुऊ'र-ए-ज़ीस्त की अल्हड़ किरन नज़र आई
हयात-ए-नौ के सिमटते हुए धुँदलके में
तुम्हारे क़ुर्ब की वो साअ'त-ए-हसीं अब भी
रवाँ है साथ मिरे याद के सफ़ीने में
हर एक साँस सू-ए-कहकशाँ बढ़ी लेकिन
क़दम भटकते रहे उम्र भर अँधेरे में
निकल के महबस-ए-शब-रंग से जुनूँ वाले
असीर होते रहे अस्र-ए-नौ के धोके में
करे जो अज़्म-ए-सफ़र उस को ये ख़बर कर दो
कि इक पड़ाव हैं हम इस तवील मेले में
बहा जो सुब्ह-ए-बहाराँ की जुस्तुजू में 'उमीद'
उसी लहू का है परतव हर इक शगूफ़े में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed
our suggestion based on Ali Abbas Ummeed
As you were reading Faith Shayari Shayari