jab kabhi tark-e-gham-e-dil ka sawaal aata hai
ret par naam tha mera bhi khayal aata hai
mauj-e-toofaan uthi bah chale khwaabon ke sadaf
phir barsate hue baadal pe zawaal aata hai
ab mere khwaab ke hamraah wahi yaadein hain
jin ko ma'aloom na tha sheeshe mein baal aata hai
jab simat aaya hai khud jism hi peshaani par
kyun dar-e-dil pe dabey paanv malaal aata hai
kya tira zehan bhi lamhon ke safar mein hoga
teri baaraat mein rah rah ke khayal aata hai
koi aisa bhi hai jo naqsh-b-deewaar na ho
ab ye ta'aamir ki raahon mein sawaal aata hai
ghantiyaan waqt ki bajti hain musalsal ummeed
faasle kahte hain ik aur bhi saal aata hai
जब कभी तर्क-ए-ग़म-ए-दिल का सवाल आता है
रेत पर नाम था मेरा भी ख़याल आता है
मौज-ए-तूफ़ान उठी बह चले ख़्वाबों के सदफ़
फिर बरसते हुए बादल पे ज़वाल आता है
अब मिरे ख़्वाब के हमराह वही यादें हैं
जिन को मा'लूम न था शीशे में बाल आता है
जब सिमट आया है ख़ुद जिस्म ही पेशानी पर
क्यों दर-ए-दिल पे दबे पाँव मलाल आता है
क्या तिरा ज़ेहन भी लम्हों के सफ़र में होगा
तेरी बारात में रह रह के ख़याल आता है
कोई ऐसा भी है जो नक़्श-ब-दीवार न हो
अब ये ता'मीर की राहों में सवाल आता है
घंटियाँ वक़्त की बजती हैं मुसलसल 'उम्मीद'
फ़ासले कहते हैं इक और भी साल आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed
our suggestion based on Ali Abbas Ummeed
As you were reading Khyaal Shayari Shayari