koocha-e-deeda-varaan mein dar-e-taaseer ke paas
seekhne jaaie aadaab-e-sukhan meer ke paas
raas aayi na rihaai tire deewane ko
der tak baith ke roya kiya zanjeer ke paas
ab mere shehar ke logon se lahu maange hai
roshnai na rahi kaatib-e-taqdeer ke paas
dil ke maanind dhadkane laga har guncha-e-surkh
shaakh-e-gul ham ne jo rakh di tiri tasveer ke paas
raunaq-e-maikadaa-e-ghalib-o-khusro tasleem
baithiye chal ke zara der ko ab meer ke paas
कूचा-ए-दीदा-वरां में दर-ए-तासीर के पास
सीखने जाइए आदाब-ए-सुख़न मीर के पास
रास आई न रिहाई तिरे दीवाने को
देर तक बैठ के रोया किया ज़ंजीर के पास
अब मिरे शहर के लोगों से लहू माँगे है
रौशनाई न रही कातिब-ए-तक़दीर के पास
दिल के मानिंद धड़कने लगा हर ग़ुंचा-ए-सुर्ख़
शाख़-ए-गुल हम ने जो रख दी तिरी तस्वीर के पास
रौनक़-ए-मैकदा-ए-ग़ालिब-ओ-ख़ुसरो तस्लीम
बैठिए चल के ज़रा देर को अब मीर के पास
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Minai
our suggestion based on Ali Minai
As you were reading Freedom Shayari Shayari