shaikh-o-waiz ko khudaara hum-nasheen mat kijie | शैख़-ओ-वाइज़ को ख़ुदारा हम-नशीं मत कीजिए - Ali Minai

shaikh-o-waiz ko khudaara hum-nasheen mat kijie
kaam jo shaayaan-e-ahl-e-dil nahin mat kijie

dekhiye bas ye ki izn-e-chashm-e-jaanaana hai kiya
ishq hai to imtiyaaz-e-kufr-o-deen mat kijie

daal den jo dil ke darwaazon pe be-mehri ke qufl
jee mein aisi aarzooon ko makeen mat kijie

zehan mein zauq-e-gumaan ki bhi na gunjaish rahe
is qadar tauheen-e-adaab-e-yaqeen mat kijie

shauq se ho leejie ahl-e-junoon ke saath saath
haan magar phir fikr-e-jeb-o-aasteen mat kijie

hai lagan to kijie sehra-navardi misl-e-qais
sirf zikr-e-laila-e-mahmil-nasheen mat kijie

dasht mein kho jaaie jungle mein ja basiye magar
rooh ko bahr-e-khuda uzlat-guzee mat kijie

muskuraa kar taal deeje daad-khwaah-e-shauq ko
haan agar mumkin nahin hai to nahin mat kijie

lutf ka taalib hai maal-o-zar ka saudaai nahin
apne sail par nigaah-e-khushm-geen mat kijie

ishq ke baare mein na-mahram jo kahte hain kahi
khanda-peshaani se sun lijye yaqeen mat kijie

शैख़-ओ-वाइज़ को ख़ुदारा हम-नशीं मत कीजिए
काम जो शायान-ए-अहल-ए-दिल नहीं मत कीजिए

देखिए बस ये कि इज़्न-ए-चश्म-ए-जानाना है किया
इश्क़ है तो इम्तियाज़-ए-कुफ़्र-ओ-दीं मत कीजिए

डाल दें जो दिल के दरवाज़ों पे बे-मेहरी के क़ुफ़्ल
जी में ऐसी आरज़ूओं को मकीं मत कीजिए

ज़ेहन में ज़ौक़-ए-गुमाँ की भी न गुंजाइश रहे
इस क़दर तौहीन-ए-आदाब-ए-यक़ीं मत कीजिए

शौक़ से हो लीजिए अहल-ए-जुनूँ के साथ साथ
हाँ मगर फिर फ़िक्र-ए-जेब-ओ-आस्तीं मत कीजिए

है लगन तो कीजिए सहरा-नवर्दी मिस्ल-ए-क़ैस
सिर्फ़ ज़िक्र-ए-लैला-ए-महमिल-नशीं मत कीजिए

दश्त में खो जाइए जंगल में जा बसिये मगर
रूह को बहर-ए-ख़ुदा उज़्लत-गुज़ीं मत कीजिए

मुस्कुरा कर टाल दीजे दाद-ख़्वाह-ए-शौक़ को
हाँ अगर मुमकिन नहीं है तो नहीं मत कीजिए

लुत्फ़ का तालिब है माल-ओ-ज़र का सौदाई नहीं
अपने साइल पर निगाह-ए-ख़श्म-गीं मत कीजिए

इश्क़ के बारे में ना-महरम जो कहते हैं कहीं
ख़ंदा-पेशानी से सुन लीजे यक़ीं मत कीजिए

- Ali Minai
0 Likes

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari