rakhna ho to dil ko nigah-e-yaar mein rakhna | रखना हो तो दिल को निगह-ए-यार में रखना - Ali Minai

rakhna ho to dil ko nigah-e-yaar mein rakhna
is jins-e-giraami ko na bazaar mein rakhna

ham ahl-e-tamanna ki bas itni hai karaamat
ik khwaab sada deeda-e-bedaar mein rakhna

anjaam-e-tarab bhi to ta'assuf hai so is baar
khushiyon ko bhi takhmeena-e-aazaar mein rakhna

ab ghar jo banaana koi khwaabon ki zameen par
imkaan-tagayyur dar-o-deewar mein rakhna

naahak kisi mazloom par utthe to lachak jaaye
ye jouhar-e-naayaab bhi talwaar mein rakhna

ye kiya ki har ik dil mein jagaana talab-e-husn
aur khud ko nihaan pardaa-e-asraar mein rakhna

रखना हो तो दिल को निगह-ए-यार में रखना
इस जिंस-ए-गिरामी को न बाज़ार में रखना

हम अहल-ए-तमन्ना की बस इतनी है करामत
इक ख़्वाब सदा दीदा-ए-बेदार में रखना

अंजाम-ए-तरब भी तो तअस्सुफ़ है सो इस बार
ख़ुशियों को भी तख़्मीना-ए-आज़ार में रखना

अब घर जो बनाना कोई ख़्वाबों की ज़मीं पर
इमकान-तग़य्युर दर-ओ-दीवार में रखना

नाहक़ किसी मज़लूम पर उट्ठे तो लचक जाए
ये जौहर-ए-नायाब भी तलवार में रखना

ये किया कि हर इक दिल में जगाना तलब-ए-हुस्न
और ख़ुद को निहाँ पर्दा-ए-असरार में रखना

- Ali Minai
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari