shahr-e-jaan par jo tiri yaad ka lashkar toota
ek hamle mein hisaar-e-dil-e-khud-sar toota
jaise ik barq si lahraai pas-e-parda-e-abr
jaise ik chaand sar-e-shaakh-e-sanobar toota
aa gaya ta b girebaan-e-shafaq dast-e-sahaab
baam-e-aflaak pe naaheed ka mahvar toota
mere saaghar mein utar aaya kisi shaam ka aks
meri aankhon mein kisi husn ka nashtar toota
dil ki gehraai mein phir jaag utha sho'la-e-dard
munjamid tha jo mere gham ka samundar toota
dast-e-ayyaam se lauti kisi ehsaas ki goonj
ma'bad-e-jan mein kisi vaham ka paikar toota
phir pur-asraar yaka yak hui khaamoshi-e-shab
phir koi jaam kisi haath se gir kar toota
kaasni dhoop ke aansu meri aankhon se bahe
jaise ik mehr-e-darkhan mere andar toota
ghul machaate hue rangon ke parinde nikle
sang-e-hairat se jab aaina-e-manzar toota
gumbad-e-gosh mein goonji phir ik aawaaz-e-shikast
kya khabar ye mera dil toota ki saaghar toota
शहर-ए-जाँ पर जो तिरी याद का लश्कर टूटा
एक हमले में हिसार-ए-दिल-ए-ख़ुद-सर टूटा
जैसे इक बर्क़ सी लहराई पस-ए-पर्दा-ए-अब्र
जैसे इक चाँद सर-ए-शाख़-ए-सनोबर टूटा
आ गया ता ब गिरेबान-ए-शफ़क़ दस्त-ए-सहाब
बाम-ए-अफ़्लाक पे नाहीद का महवर टूटा
मेरे साग़र में उतर आया किसी शाम का अक्स
मेरी आँखों में किसी हुस्न का नश्तर टूटा
दिल की गहराई में फिर जाग उठा शो'ला-ए-दर्द
मुंजमिद था जो मिरे ग़म का समुंदर टूटा
दश्त-ए-अय्याम से लौटी किसी एहसास की गूँज
मा'बद-ए-जाँ में किसी वहम का पैकर टूटा
फिर पुर-असरार यका यक हुई ख़ामोशी-ए-शब
फिर कोई जाम किसी हाथ से गिर कर टूटा
कासनी धूप के आँसू मिरी आँखों से बहे
जैसे इक महर-ए-दरख़्शाँ मिरे अंदर टूटा
ग़ुल मचाते हुए रंगों के परिंदे निकले
संग-ए-हैरत से जब आईना-ए-मंज़र टूटा
गुम्बद-ए-गोश में गूँजी फिर इक आवाज़-ए-शिकस्त
क्या ख़बर ये मिरा दिल टूटा कि साग़र टूटा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Minai
our suggestion based on Ali Minai
As you were reading Udasi Shayari Shayari