patte mere chaman se utha le gai hawa | पत्ते मिरे चमन से उठा ले गई हवा - Ali Minai

patte mere chaman se utha le gai hawa
har yaad fasl-e-gul ki uda le gai hawa

sarsabz mausamon ki basharat suna ke aaj
be-barg tehniyon ki dua le gai hawa

thehri jo us haseen ke sirhaane zara si der
mauj-e-nafs se ram ki ada le gai hawa

har shaakh par gulaab khilaati chali gai
jis samt us ki boo-e-qaba le gai hawa

ahl-e-haram ki murda-dili ke ilaaj ko
koo-e-butaan se khaak-e-shifa le gai hawa

aasoodagaan-e-gulshan-e-barg-o-navaa ke naam
faryaad-e-murgh-e-qibla-numa le gai hawa

tareek bastiyon mein ye kya dhoondhti hai ab
zau har charaagh se tu chura le gai hawa

sunte ye hain ki qasr-e-sulaimaan ki khaak ko
aakhir uda ke soo-e-saba le gai hawa

पत्ते मिरे चमन से उठा ले गई हवा
हर याद फ़स्ल-ए-गुल की उड़ा ले गई हवा

सरसब्ज़ मौसमों की बशारत सुना के आज
बे-बर्ग टहनियों की दुआ ले गई हवा

ठहरी जो उस हसीं के सिरहाने ज़रा सी देर
मौज-ए-नफ़स से रम की अदा ले गई हवा

हर शाख़ पर गुलाब खिलाती चली गई
जिस सम्त उस की बू-ए-क़बा ले गई हवा

अहल-ए-हरम की मुर्दा-दिली के इलाज को
कू-ए-बुताँ से ख़ाक-ए-शिफ़ा ले गई हवा

आसूदगान-ए-गुलशन-ए-बर्ग-ओ-नवा के नाम
फ़र्याद-ए-मुर्ग़-ए-क़िबला-नुमा ले गई हवा

तारीक बस्तियों में ये क्या ढूँढती है अब
ज़ौ हर चराग़ से तू चुरा ले गई हवा

सुनते ये हैं कि क़स्र-ए-सुलैमाँ की ख़ाक को
आख़िर उड़ा के सू-ए-सबा ले गई हवा

- Ali Minai
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari