raqs karti hai tire noor mein zulmat meri | रक़्स करती है तिरे नूर में ज़ुल्मत मेरी - Ali Minai

raqs karti hai tire noor mein zulmat meri
hoon juda tujh se to hai vaham haqeeqat meri

tere andaaz hain sab saaz-o-sada nikhat-o-rang
mera ehsaas hi goya hai ibadat meri

mere izhaar ko de lahja-e-gul ka ej'aaz
harf-e-laaghar se na sambhalegi hikaayat meri

husn-e-naadida kisi aks mein dhalt hi nahin
roz laati hai naya aaina hairat meri

chaaya jaata hai ghubaar-e-gham-e-dauraan dil par
kya nahin ab gham-e-jaanaan ko zaroorat meri

dil hai aaina-e-ajzaa-e-pareshaan-e-vujood
ya'ni ik soorat-e-idraak hai vehshat meri

be-dili par to ye aalam hai ki dil raqs mein hai
ho gazab rang pe aaye jo tabeeyat meri

रक़्स करती है तिरे नूर में ज़ुल्मत मेरी
हूँ जुदा तुझ से तो है वहम हक़ीक़त मेरी

तेरे अंदाज़ हैं सब साज़-ओ-सदा निकहत-ओ-रंग
मेरा एहसास ही गोया है इबादत मेरी

मेरे इज़हार को दे लहजा-ए-गुल का ए'जाज़
हर्फ़-ए-लाग़र से न सँभलेगी हिकायत मेरी

हुस्न-ए-नादीदा किसी अक्स में ढलता ही नहीं
रोज़ लाती है नया आइना हैरत मेरी

छाया जाता है ग़ुबार-ए-ग़म-ए-दौराँ दिल पर
क्या नहीं अब ग़म-ए-जानाँ को ज़रूरत मेरी

दिल है आईना-ए-अजज़ाए-ए-परेशान-ए-वजूद
या'नी इक सूरत-ए-इदराक है वहशत मेरी

बे-दिली पर तो ये आलम है कि दिल रक़्स में है
हो ग़ज़ब रंग पे आए जो तबीअत मेरी

- Ali Minai
0 Likes

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari