bazm-e-rang-o-noor mein sahib-nazar koi nahin
dekhne waale bahut hain deeda-war koi nahin
ham ko virse mein mila hai vo makaan ajdaad se
jis mein deewarein hi deewarein hain dar koi nahin
har gali kooche mein ab shams-o-qamar bikne lage
ab khareedaar-chiraagh-e-chashm-tar koi nahin
yun takhayyul mein haqaaiq ki milaavat ho gai
ab fasaanon mein bhi harf-e-mo'tabar koi nahin
main nayi manzil ko nikla hoon puraani raah par
mere hamraahi bahut hain hum-safar koi nahin
ahl-e-dil to khair sab sood-o-ziyaan mein pad gaye
kya khird-mandoon mein bhi aashufta-sar koi nahin
बज़म-ए-रंग-ओ-नूर में साहिब-नज़र कोई नहीं
देखने वाले बहुत हैं दीदा-वर कोई नहीं
हम को विर्से में मिला है वो मकाँ अज्दाद से
जिस में दीवारें ही दीवारें हैं दर कोई नहीं
हर गली कूचे में अब शम्स-ओ-क़मर बिकने लगे
अब ख़रीदार-चिराग़-ए-चशम-तर कोई नहीं
यूँ तख़य्युल में हक़ाएक़ की मिलावट हो गई
अब फ़सानों में भी हर्फ़-ए-मो'तबर कोई नहीं
मैं नई मंज़िल को निकला हूँ पुरानी राह पर
मेरे हमराही बहुत हैं हम-सफ़र कोई नहीं
अहल-ए-दिल तो ख़ैर सब सूद-ओ-ज़ियाँ में पड़ गए
क्या ख़िरद-मंदों में भी आशुफ़्ता-सर कोई नहिं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Minai
our suggestion based on Ali Minai
As you were reading Dar Shayari Shayari