naqsh-bar-aab thi jo daam-o-dirm ne bakshi
zeest ko daulat-e-naayaab to gham ne bakshi
ahl-e-dastaar na arbaab-e-karam ne bakshi
izzat-e-nafs mujhe lauh-o-qalam ne bakshi
aabyaari na hui aab-e-guhar se us ki
nakhl-e-irfaan ko numoo deeda-e-nam ne bakshi
warna kya un mein tha ik jazba-e-hairaana ke siva
teri aankhon ko ye goyaai to ham ne bakshi
umr bhar ham ko mayassar rahi betaabi-e-dil
jo khuda ne nahin bakshi vo sanam ne bakshi
jis ne paamard rakha ham ko sitamgar ke khilaaf
vo azeemat hamein khud us ke sitam ne bakshi
kitni be-faiz viraasat hai vo taarikh-e-ziyaan
jo hamein chapqulash-e-dair-o-haram ne bakshi
harf-e-taazi se bhi paaya hai bahut faiz magar
mere izhaar ko lay saaz-e-ajam ne bakshi
नक़्श-बर-आब थी जो दाम-ओ-दिरम ने बख़्शी
ज़ीस्त को दौलत-ए-नायाब तो ग़म ने बख़्शी
अहल-ए-दस्तार न अर्बाब-ए-करम ने बख़्शी
इज़्ज़त-ए-नफ़्स मुझे लौह-ओ-क़लम ने बख़्शी
आब्यारी न हुई आब-ए-गुहर से उस की
नख़ल-ए-इरफ़ां को नुमू दीदा-ए-नम ने बख़्शी
वर्ना क्या उन में था इक जज़्बा-ए-हैराँ के सिवा
तेरी आँखों को ये गोयाई तो हम ने बख़्शी
उम्र भर हम को मयस्सर रही बेताबी-ए-दिल
जो ख़ुदा ने नहीं बख़्शी वो सनम ने बख़्शी
जिस ने पामर्द रखा हम को सितमगर के ख़िलाफ़
वो अज़ीमत हमें ख़ुद उस के सितम ने बख़्शी
कितनी बे-फ़ैज़ विरासत है वो तारीख़-ए-ज़ियाँ
जो हमें चपक़ुलश-ए-दैर-ओ-हरम ने बख़्शी
हर्फ़-ए-ताज़ी से भी पाया है बहुत फ़ैज़ मगर
मेरे इज़हार को लय साज़-ए-अजम ने बख़्शी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Minai
our suggestion based on Ali Minai
As you were reading Mehboob Shayari Shayari