utha na parda-e-hairat rukh-nihaan se abhi
mere yaqeen ko furqat nahin gumaan se abhi
na khol mujh pe pur-asraar zulmato_n ke tilism
bahl rahi hai nazar maah-o-kahkashaan se abhi
suna na zamzama-e-rooh-kaayenaat mujhe
ki aa rahi hai sada mere saaz-e-jaan se abhi
abhi se de na mujhe manzil-e-adam ka suraagh
guzar raha hoon main hasti ke imtihaan se abhi
dikha na khwaab kisi aalam-e-digar ke mujhe
ki mera dil nahin faarigh isee jahaan se abhi
na kar haqeeqat-e-hasti se aashna mujh ko
ki rabt hai mujhe is wehm-e-raaigaan se abhi
bana raha hoon zameen par sanam-kade apne
sadaaein de na mujhe baam-e-aasmaan se abhi
maqaam-e-hosh bhi meri nazar mein hai lekin
suboo hai pur mera sahba-e-arghwaan se abhi
bhadak raha hai abhi shola-e-nafs mera
lapak rahe hain sharaare meri zabaan se abhi
hai zarra zarra tapaan dast-e-aarzoo ka mere
uthenge aur bagule bahut yahan se abhi
fana qubool ho kyunkar mujhe ki rishta-e-dil
bandha hua hai tamanna-e-jaavidaan se abhi
उठा न पर्दा-ए-हैरत रुख़-निहां से अभी
मिरे यक़ीन को फ़ुर्सत नहीं गुमाँ से अभी
न खोल मुझ पे पुर-असरार ज़ुल्मतों के तिलिस्म
बहल रही है नज़र माह-ओ-कहकशाँ से अभी
सुना न ज़मज़मा-ए-रूह-काएनात मुझे
कि आ रही है सदा मेरे साज़-ए-जाँ से अभी
अभी से दे न मुझे मंज़िल-ए-अदम का सुराग़
गुज़र रहा हूँ मैं हस्ती के इम्तिहाँ से अभी
दिखा न ख़्वाब किसी आलम-ए-दिगर के मुझे
कि मेरा दिल नहीं फ़ारिग़ इसी जहाँ से अभी
न कर हक़ीक़त-ए-हस्ती से आश्ना मुझ को
कि रब्त है मुझे इस वह्म-ए-राएगाँ से अभी
बना रहा हूँ ज़मीं पर सनम-कदे अपने
सदाएँ दे न मुझे बाम-ए-आसमाँ से अभी
मक़ाम-ए-होश भी मेरी नज़र में है लेकिन
सुबू है पुर मिरा सहबा-ए-अर्ग़वाँ से अभी
भड़क रहा है अभी शो'ला-ए-नफ़स मेरा
लपक रहे हैं शरारे मिरी ज़बाँ से अभी
है ज़र्रा ज़र्रा तपाँ दश्त-ए-आरज़ू का मिरे
उठेंगे और बगूले बहुत यहाँ से अभी
फ़ना क़ुबूल हो क्यूँकर मुझे कि रिश्ता-ए-दिल
बँधा हुआ है तमन्ना-ए-जाविदाँ से अभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Minai
our suggestion based on Ali Minai
As you were reading Aawargi Shayari Shayari