khayal-o-khwaab ke paikar badalte rahte hain | ख़याल-ओ-ख़्वाब के पैकर बदलते रहते हैं - Ali Minai

khayal-o-khwaab ke paikar badalte rahte hain
dil aaina ho to manzar badalte rahte hain

hamaare haal se mat kar qayaas-e-naakaami
ki sar-firo ke muqaddar badalte rahte hain

uljh na jaaye kahi baam-o-dar mein rishta-e-zeest
is ehtimaal se ham ghar badalte rahte hain

har iltifaat hai taaza zaraahaton ki naveed
ki chaaragar mere nashtar badalte rahte hain

bhala yaqeen ko mayassar hai kab gumaan se najaat
ki sahilon ko samundar badalte rahte hain

asaas-e-mehr-o-mohabbat nahin badalti kabhi
agarche log barabar badalte rahte hain

wahi hai aaj jo kal thi sazaa-e-haq-goi
sutoon-e-daar pe haan sar badalte rahte hain

mere watan ki bahut mukhtasar si hai taarikh
sitam wahi hai sitamgar badalte rahte hain

wahi hai jalwa-e-jaanaana dair ho ki haram
sharaab ek hai saaghar badalte rahte hain

ख़याल-ओ-ख़्वाब के पैकर बदलते रहते हैं
दिल आइना हो तो मंज़र बदलते रहते हैं

हमारे हाल से मत कर क़यास-ए-नाकामी
कि सर-फिरों के मुक़द्दर बदलते रहते हैं

उलझ न जाए कहीं बाम-ओ-दर में रिश्ता-ए-ज़ीस्त
इस एहतिमाल से हम घर बदलते रहते हैं

हर इल्तिफ़ात है ताज़ा जराहतों की नवीद
कि चारागर मिरे नश्तर बदलते रहते हैं

भला यक़ीं को मयस्सर है कब गुमाँ से नजात
कि साहिलों को समुंदर बदलते रहते हैं

असास-ए-मेहर-ओ-मोहब्बत नहीं बदलती कभी
अगरचे लोग बराबर बदलते रहते हैं

वही है आज जो कल थी सज़ा-ए-हक़-गोई
सुतून-ए-दार पे हाँ सर बदलते रहते हैं

मिरे वतन की बहुत मुख़्तसर सी है तारीख़
सितम वही है सितमगर बदलते रहते हैं

वही है जल्वा-ए-जानाना दैर हो कि हरम
शराब एक है साग़र बदलते रहते हैं

- Ali Minai
0 Likes

Nasha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Nasha Shayari Shayari