zer-e-zameen utar gaye ya sar-e-aasman gaye | ज़ेर-ए-ज़मीं उतर गए या सर-ए-आसमाँ गए - Ali Minai

zer-e-zameen utar gaye ya sar-e-aasman gaye
pesh-ravaan-e-raah-e-zeest kaun kahe kahaan gaye

koi raha na aas paas ai dil-e-dost-na-shanaas
chhod ke tujh ko mahv-e-yaas sab tire meherbaan gaye

arsa-e-aarzoo mein theen yun to hazaar wusa'aten
tere qareeb hi rahe ahl-e-wafa jahaan gaye

hosh ke marhalon mein ik marhala-e-junoon bhi tha
waadi-e-vahm se sabhi fikr ke kaarwaan gaye

jab bhi hawaa-e-dasht ne ahl-e-junoon ko di sada
mauj-e-shameem-e-gul ke saath ham bhi kashaan kashaan gaye

kaise vo log the jinhen be-khabri qubool thi
ham to junoon-e-aagahi le ke gaye jahaan gaye

ahad-e-junoon ke mashghale waqt ne sab badal diye
shauq ki laghzishein gaeein zabt ke imtihaan gaye

aakhir-e-kaar khaamoshi hi se khule dilon ke raaz
harf-e-sukhan zabaan pe jo aaye the raayegaan gaye

hosh ki juraten tamaam hadd-e-yaqeen pe ruk gaeein
khilwat-e-naaz tak tiri sirf mere gumaan gaye

zahn ki chob-e-khushk ko phoonk gai sukhun ki aanch
dood-e-nawaa ke daayere jaane kahaan kahaan gaye

ज़ेर-ए-ज़मीं उतर गए या सर-ए-आसमाँ गए
पेश-रवान-ए-राह-ए-ज़ीस्त कौन कहे कहाँ गए

कोई रहा न आस पास ऐ दिल-ए-दोस्त-ना-शनास
छोड़ के तुझ को महव-ए-यास सब तिरे मेहरबाँ गए

अर्सा-ए-आरज़ू में थीं यूँ तो हज़ार वुसअ'तें
तेरे क़रीब ही रहे अहल-ए-वफ़ा जहाँ गए

होश के मरहलों में इक मरहला-ए-जुनूँ भी था
वादी-ए-वह्म से सभी फ़िक्र के कारवाँ गए

जब भी हवा-ए-दश्त ने अहल-ए-जुनूँ को दी सदा
मौज-ए-शमीम-ए-गुल के साथ हम भी कशाँ कशाँ गए

कैसे वो लोग थे जिन्हें बे-ख़बरी क़ुबूल थी
हम तो जुनून-ए-आगही ले के गए जहाँ गए

अहद-ए-जुनूँ के मश्ग़ले वक़्त ने सब बदल दिए
शौक़ की लग़्ज़िशें गईं ज़ब्त के इम्तिहाँ गए

आख़िर-ए-कार ख़ामुशी ही से खुले दिलों के राज़
हर्फ़-ए-सुख़न ज़बाँ पे जो आए थे राएगाँ गए

होश की जुरअतें तमाम हद्द-ए-यक़ीं पे रुक गईं
ख़ल्वत-ए-नाज़ तक तिरी सिर्फ़ मिरे गुमाँ गए

ज़ह्न की चोब-ए-ख़ुश्क को फूँक गई सुख़न की आँच
दूद-ए-नवा के दाएरे जाने कहाँ कहाँ गए

- Ali Minai
0 Likes

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari