lahu mein apne sar-e-shaam jal bujha suraj | लहू में अपने सर-ए-शाम जल बुझा सूरज - Ali Minai

lahu mein apne sar-e-shaam jal bujha suraj
ik isti'aara meri aarzoo ka tha suraj

hai umr-bhar ki rifaqat magar mere gham se
na aashna hain sitaare na aashna suraj

ik aisa daur bhi guzra tiri lagan mein ki jab
meri jabeen pe sitaare the zer-e-paa suraj

ye mujh ko kaise andheron mein la ke chhod gaya
mere jahaan-e-tarab ka gurez pa suraj

suna hai aaine suraj ke hain mah-o-parveen
main sochta hoon ki hai kis ka aaina suraj

hamaare ahad mein min-jumlaa-e-nujoom sahi
raha hai apne zamaane mein devta suraj

shab-e-siyah ki pur-asraar kaar-gaahon mein
sehar taraash rahi hai koi naya suraj

har ek zarre mein hai baaz-gasht-e-noor-e-azl
zameen ki khaak mein zam hain hazaar-ha suraj

लहू में अपने सर-ए-शाम जल बुझा सूरज
इक इस्तिआ'रा मिरी आरज़ू का था सूरज

है उम्र-भर की रिफ़ाक़त मगर मिरे ग़म से
न आश्ना हैं सितारे न आश्ना सूरज

इक ऐसा दौर भी गुज़रा तिरी लगन में कि जब
मिरी जबीं पे सितारे थे ज़ेर-ए-पा सूरज

ये मुझ को कैसे अँधेरों में ला के छोड़ गया
मिरे जहान-ए-तरब का गुरेज़ पा सूरज

सुना है आइने सूरज के हैं मह-ओ-पर्वीं
मैं सोचता हूँ कि है किस का आइना सूरज

हमारे अह्द में मिन-जुमला-ए-नुजूम सही
रहा है अपने ज़माने में देवता सूरज

शब-ए-सियह की पुर-असरार कार-गाहों में
सहर तराश रही है कोई नया सूरज

हर एक ज़र्रे में है बाज़-गश्त-ए-नूर-ए-अज़ल
ज़मीं की ख़ाक में ज़म हैं हज़ार-हा सूरज

- Ali Minai
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Minai

As you were reading Shayari by Ali Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ali Minai

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari