jab mere nazdeek suraj mein kami paida hui | जब मिरे नज़दीक सूरज में कमी पैदा हुई

  - Ali Sajid

jab mere nazdeek suraj mein kami paida hui
phir andheron ke shehar mein raushni paida hui

jab sadaa-e-kun laga kar vo zara faarigh hua
phir khuda ki shaan mein ye shaay'ri paida hui

main ne lafzon ko pilaai hai tiri jhooti sharaab
tab kahi ghazalon mein apni chaashni paida hui

do musaafir faand baithe ajnabbiyyat ka mazaar
dekhte hi dekhte phir dosti paida hui

mera rishta kuchh na tha vehshat tire ajdaad se
phir mere ghar kyun ye leila si pari paida hui

जब मिरे नज़दीक सूरज में कमी पैदा हुई
फिर अँधेरों के शहर में रौशनी पैदा हुई

जब सदा-ए-कुन लगा कर वो ज़रा फ़ारिग़ हुआ
फिर ख़ुदा की शान में ये शाइ'री पैदा हुई

मैं ने लफ़्ज़ों को पिलाई है तिरी झूटी शराब
तब कहीं ग़ज़लों में अपनी चाशनी पैदा हुई

दो मुसाफ़िर फाँद बैठे अज्नबिय्यत का मज़ार
देखते ही देखते फिर दोस्ती पैदा हुई

मेरा रिश्ता कुछ न था वहशत तिरे अज्दाद से
फिर मिरे घर क्यों ये लैला सी परी पैदा हुई

  - Ali Sajid

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari