jab jab us ko yaar manana padta hai
surkh labaada odh ke jaana padta hai
tum meri sochon par qabza rakhte ho
tum se mujh ko ishq nibhaana padhta hai
ham jaison ko vehshat tab apnaati hai
ik chaukhat pe sheesh jhukaana padta hai
vo jab phool se vajd mein ja takraati hai
phir gulshan ko hosh mein laana padhta hai
us ladki ke saajid saajid kehne par
ab college bhi waqt pe jaana padta hai
जब जब उस को यार मनाना पड़ता है
सुर्ख़ लबादा ओढ़ के जाना पड़ता है
तुम मिरी सोचों पर क़ब्ज़ा रखते हो
तुम से मुझ को इश्क़ निभाना पढ़ता है
हम जैसों को वहशत तब अपनाती है
इक चौखट पे शीश झुकाना पड़ता है
वो जब फूल से वज्द में जा टकराती है
फिर गुलशन को होश में लाना पढ़ता है
उस लड़की के 'साजिद' 'साजिद' कहने पर
अब कॉलेज भी वक़्त पे जाना पड़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sajid
our suggestion based on Ali Sajid
As you were reading Ulfat Shayari Shayari