mere bahte ashkon mein zaa'ika nahin hoga | मेरे बहते अश्कों में ज़ाइक़ा नहीं होगा - Ali Sajid

mere bahte ashkon mein zaa'ika nahin hoga
jab talak talaatum mein mo'jiza nahin hoga

sab parind shaakhon se jaan bacha ke udte hain
vo jo mar gaya shaayad vo uda nahin hoga

aasmaan waale khud phir tumhein gira denge
gar tumhaare shaanon par hausla nahin hoga

bas guzarne waale ka itna dukh to hai mujh ko
ab kabhi kahi us se raabta nahin hoga

ab hamaari ghazalon ko raushni nahin milti
vo hamaare baare mein sochta nahin hoga

raushni hawa jaadu sab purane qisse hain
haan tumhaari aankhon se kuchh siva nahin hoga

main tiri amaanat hoon tu meri amaanat hai
ye jo waqt hai saajid ye sada nahin hoga

मेरे बहते अश्कों में ज़ाइक़ा नहीं होगा
जब तलक तलातुम में मो'जिज़ा नहीं होगा

सब परिंद शाख़ों से जाँ बचा के उड़ते हैं
वो जो मर गया शायद वो उड़ा नहीं होगा

आसमान वाले ख़ुद फिर तुम्हें गिरा देंगे
गर तुम्हारे शानों पर हौसला नहीं होगा

बस गुज़रने वाले का इतना दुख तो है मुझ को
अब कभी कहीं उस से राब्ता नहीं होगा

अब हमारी ग़ज़लों को रौशनी नहीं मिलती
वो हमारे बारे में सोचता नहीं होगा

रौशनी हवा जादू सब पुराने क़िस्से हैं
हाँ तुम्हारी आँखों से कुछ सिवा नहीं होगा

मैं तिरी अमानत हूँ तू मेरी अमानत है
ये जो वक़्त है 'साजिद' ये सदा नहीं होगा

- Ali Sajid
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari