vasl ki raat ajab hijr manaata hua main | वस्ल की रात अजब हिज्र मनाता हुआ मैं

  - Ali Sajid

vasl ki raat ajab hijr manaata hua main
mujh mein aata hua tu tujh ko bhagaata hua main

ek tasveer mein aa baithe hain dono pahluu
mujh se rootha hua tu tujh ko manaata hua main

jaane kis samt baha le gaya mujh ko paani
tu ne dekha hi nahin cheekhta gaata hua main

roz aa jaata hoon seharaaon se ghar ki jaanib
kuchh parindon ko sar-e-shaam udaata hua main

वस्ल की रात अजब हिज्र मनाता हुआ मैं
मुझ में आता हुआ तू तुझ को भगाता हुआ मैं

एक तस्वीर में आ बैठे हैं दोनों पहलू
मुझ से रूठा हुआ तू तुझ को मनाता हुआ मैं

जाने किस सम्त बहा ले गया मुझ को पानी
तू ने देखा ही नहीं चीख़ता गाता हुआ मैं

रोज़ आ जाता हूँ सहराओं से घर की जानिब
कुछ परिंदों को सर-ए-शाम उड़ाता हुआ मैं

  - Ali Sajid

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari