saba ne kaan mein aa kar kaha mile hi nahin | सबा ने कान में आ कर कहा मिले ही नहीं - Ali Sajid

saba ne kaan mein aa kar kaha mile hi nahin
haseen log tire gaav mein rahe hi nahin

hamein kya ilm ki kya shay hai aablaa-paai
ham apne kamre se baahar kabhi gaye hi nahin

hamein bachaane pe raazi tha ik jahaan magar
phir ek mod vo aaya ki ham bache hi nahin

tamaam shehar ne mil-jul ke kar liye taqseem
ye haadsaat mere yaar jab tale hi nahin

mujhe girane pe aandhi ka zor tha kitna
mere lagaaye hue ped to gire hi nahin

सबा ने कान में आ कर कहा मिले ही नहीं
हसीन लोग तिरे गाँव में रहे ही नहीं

हमें क्या इल्म कि क्या शय है आबला-पाई
हम अपने कमरे से बाहर कभी गए ही नहीं

हमें बचाने पे राज़ी था इक जहान मगर
फिर एक मोड़ वो आया कि हम बचे ही नहीं

तमाम शहर ने मिल-जुल के कर लिए तक़्सीम
ये हादसात मिरे यार जब टले ही नहीं

मुझे गिराने पे आँधी का ज़ोर था कितना
मेरे लगाए हुए पेड़ तो गिरे ही नहीं

- Ali Sajid
0 Likes

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari