khidki se zara jhaank le ik baar mere yaar | खिड़की से ज़रा झाँक ले इक बार मिरे यार - Ali Sajid

khidki se zara jhaank le ik baar mere yaar
hai kaun tire dar pe talabgaar mere yaar

ik geet sar-e-shaam lata-ji ki sharan mein
aur us pe tire paanv ki jhankaar mere yaar

honthon se gawara nahin aankhon se laga le
hai zehni kashaaksh mein tira yaar mere yaar

ik shaam zara bhar kisi darvesh ki jholi
ye bhi hain tiri zulf ke haqdaar mere yaar

mumkin nahin ban jaaun kisi dar ka sawaali
rehta hai najaf mein mera sardaar mere yaar

sab laash meri qabr mein rakhne pe tule hain
bas ek sada thi ki mere yaar mere yaar

milti na ho roti jise do waqt ki saajid
vo kaise kare ishq ki guftaar mere yaar

खिड़की से ज़रा झाँक ले इक बार मिरे यार
है कौन तिरे दर पे तलबगार मिरे यार

इक गीत सर-ए-शाम लता-जी की शरण में
और उस पे तिरे पाँव की झंकार मिरे यार

होंठों से गवारा नहीं आँखों से लगा ले
है ज़ेहनी कशाकश में तिरा यार मिरे यार

इक शाम ज़रा भर किसी दरवेश की झोली
ये भी हैं तिरी ज़ुल्फ़ के हक़दार मिरे यार

मुमकिन नहीं बन जाऊँ किसी दर का सवाली
रहता है नजफ़ में मिरा सरदार मिरे यार

सब लाश मिरी क़ब्र में रखने पे तुले हैं
बस एक सदा थी कि मिरे यार मिरे यार

मिलती न हो रोटी जिसे दो वक़्त की 'साजिद'
वो कैसे करे इश्क़ की गुफ़्तार मिरे यार

- Ali Sajid
0 Likes

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari