kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amaari
phoolon ki katori mein hai shabnam ki sawaari
aankhon mein jalaae gaye phir khwaab tumhaare
seene se kharauchi gai phir yaad tumhaari
ai laadli bacchi meri baba tere sadqe
sau rang mere ghar mein tu le kar hai padhaari
sab ilm-o-adab le gaya saajid ka gharaana
baithe rahe qaasa liye masnad pe bhikaari
कब किस को मयस्सर है ये रुत्बा ये अमारी
फूलों की कटोरी में है शबनम की सवारी
आँखों में जलाए गए फिर ख़्वाब तुम्हारे
सीने से खरोची गई फिर याद तुम्हारी
ऐ लाडली बच्ची मेरी बाबा तेरे सदक़े
सौ रंग मिरे घर में तू ले कर है पधारी
सब इल्म-ओ-अदब ले गया 'साजिद' का घराना
बैठे रहे कासा लिए मसनद पे भिकारी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sajid
our suggestion based on Ali Sajid
As you were reading Bahan Shayari Shayari