jab aks mera shor machaane mein lag gaya | जब अक्स मिरा शोर मचाने में लग गया - Ali Sajid

jab aks mera shor machaane mein lag gaya
kamre se main bhi khud ko bhagaane mein lag gaya

almaariyon se cheekh rahe hain tumhaare khat
phir hoon hawa mein un ko jalane mein lag gaya

is baar main ne khwaab mein tasveer faad di
is baar main bhi us ko bhulaane mein lag gaya

ik chot mere jism ko khaane mein lag gai
ik khwaab meri aankh chabaane mein lag gaya

जब अक्स मिरा शोर मचाने में लग गया
कमरे से मैं भी ख़ुद को भगाने में लग गया

अलमारियों से चीख़ रहे हैं तुम्हारे ख़त
फिर हूँ हवा में उन को जलाने में लग गया

इस बार मैं ने ख़्वाब में तस्वीर फाड़ दी
इस बार मैं भी उस को भुलाने में लग गया

इक चोट मिरे जिस्म को खाने में लग गई
इक ख़्वाब मिरी आँख चबाने में लग गया

- Ali Sajid
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sajid

As you were reading Shayari by Ali Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sajid

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari