aatish-e-zakhm se jab seena pighlata tha mera | आतिश-ए-ज़ख़्म से जब सीना पिघलता था मिरा

  - Ali Shiran

aatish-e-zakhm se jab seena pighlata tha mera
munh se awaaz nahin khoon nikalta tha mera

surkh angaare dahakte the meri aankhon mein
teri tauheen pe jab rang badalta tha mera

itni maanoos thi ehsaas ki lau dhoop ke saath
jism suraj ke utar jaane se jalta tha mera

kam na thi maut ki raftaar se raftaar-e-safar
saans ruk jaate the jab qaafila chalta tha mera

gair aabaad masafat mein ghaneemat thi zameen
kaarwaan gard ki khooraak pe palta tha mera

daudte daudte maidaan mein pyaason ke liye
paanv ke talvon se ehsaas nikalta tha mera

habs andar ki nikalti to hawa ruk jaati
saans mushkil se ye maahol nigalta tha mera

vahshati raahguzar tay na hui mujh se ali
jism to jism hai saaya bhi dahalta tha mera

आतिश-ए-ज़ख़्म से जब सीना पिघलता था मिरा
मुँह से आवाज़ नहीं ख़ून निकलता था मिरा

सुर्ख़ अंगारे दहकते थे मिरी आँखों में
तेरी तौहीन पे जब रंग बदलता था मिरा

इतनी मानूस थी एहसास की लौ धूप के साथ
जिस्म सूरज के उतर जाने से जलता था मिरा

कम न थी मौत की रफ़्तार से रफ़्तार-ए-सफ़र
साँस रुक जाते थे जब क़ाफ़िला चलता था मिरा

ग़ैर आबाद मसाफ़त में ग़नीमत थी ज़मीं
कारवाँ गर्द की ख़ूराक पे पलता था मिरा

दौड़ते दौड़ते मैदान में प्यासों के लिए
पाँव के तलवों से एहसास निकलता था मिरा

हब्स अंदर की निकलती तो हवा रुक जाती
साँस मुश्किल से ये माहौल निगलता था मिरा

वहशती राहगुज़र तय न हुई मुझ से 'अली'
जिस्म तो जिस्म है साया भी दहलता था मिरा

  - Ali Shiran

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Shiran

As you were reading Shayari by Ali Shiran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Shiran

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari