umeed jis se lagi hai usi ka dhyaan nahin | उमीद जिस से लगी है उसी का ध्यान नहीं

  - Ali Shiran

umeed jis se lagi hai usi ka dhyaan nahin
love pukaar rahi hain hawa ke kaan nahin

bade sukoon se zinda hain naa-mukammal log
kisi ki aankh nahin hai kisi ke kaan nahin

makaan makaan mein pade hain karaahte boodhe
hamaare shehar ka koi jawaan jawaan nahin

buton ke shehar mein paida kiya gaya hai mujhe
kisi mein soch nahin hai kisi mein jaan nahin

nigaah-e-ishq mein ahdaaf khud hi aate hain
ye aisa teer hai jis ki koi kamaan nahin

उमीद जिस से लगी है उसी का ध्यान नहीं
लवें पुकार रही हैं हवा के कान नहीं

बड़े सुकून से ज़िंदा हैं ना-मुकम्मल लोग
किसी की आँख नहीं है किसी के कान नहीं

मकाँ मकाँ में पड़े हैं कराहते बूढ़े
हमारे शहर का कोई जवाँ जवान नहीं

बुतों के शहर में पैदा किया गया है मुझे
किसी में सोच नहीं है किसी में जान नहीं

निगाह-ए-इश्क़ में अहदाफ़ ख़ुद ही आते हैं
ये ऐसा तीर है जिस की कोई कमान नहीं

  - Ali Shiran

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Shiran

As you were reading Shayari by Ali Shiran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Shiran

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari