aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho | ऐसा मुमकिन ही नहीं दर्द में हर फ़र्द न हो

  - Ali Shiran

aisa mumkin hi nahin dard mein har fard na ho
koi chehra to dikha khauf se jo zard na ho

tera shaffaaf badan khaak nahin patthar hai
kaise mumkin hai badan khaak ka ho gard na ho

aisa ehsaas hai jeene mein na mar jaane mein
dil mein thandak bhi rahe aur badan sard na ho

koi taweez bata jis ke asar se murshid
zakham par zakham to aa jaaye magar dard na ho

dekhta hoon to jigar fatne ko aa jaata hai
mere maula koi ma'zoor jawaan-mard na ho

ऐसा मुमकिन ही नहीं दर्द में हर फ़र्द न हो
कोई चेहरा तो दिखा ख़ौफ़ से जो ज़र्द न हो

तेरा शफ़्फ़ाफ़ बदन ख़ाक नहीं पत्थर है
कैसे मुमकिन है बदन ख़ाक का हो गर्द न हो

ऐसा एहसास है जीने में न मर जाने में
दिल में ठंडक भी रहे और बदन सर्द न हो

कोई तावीज़ बता जिस के असर से मुर्शिद
ज़ख़्म पर ज़ख़्म तो आ जाए मगर दर्द न हो

देखता हूँ तो जिगर फटने को आ जाता है
मेरे मौला कोई मा'ज़ूर जवाँ-मर्द न हो

  - Ali Shiran

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Shiran

As you were reading Shayari by Ali Shiran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Shiran

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari