main tujh pe kar nahin saka nisaar aur charaagh
hawa-e-lams ke jhonke na maar aur charaagh
utha ke taq se ik roz fenk dega koi
mera vujood tira intizaar aur charaagh
safar ko yaad rahega hamaara rakht-e-safar
ye surkh aable gard-o-ghubaar aur charaagh
to jaan lena ki phir imtihaan-e-dosti hai
agar bujhaaya gaya ek baar aur charaagh
tiri judaai mein ik doosre ko takte hain
tamaam raat rukh-e-ashk-baar aur charaagh
wajood-e-waqt pe tazain-e-shab ke zewar hain
hamaari neend haseen khwaab-zaar aur charaagh
qadeem waqton se ik doosre ke yaar hain ye
kabhi bichhad nahin sakte mazaar aur charaagh
samaan banaate hain shab ka safed chehron par
siyaah rang ke gehre hisaar aur charaagh
naved-e-subh ke imkaan mein chal base dono
shab-e-shikast ka giryaa-guzaar aur charaagh
shab-e-sukoot mein sheeraan mahv-e-raqs hain sab
dhuaan andhera hawa-e-khumaar aur charaagh
मैं तुझ पे कर नहीं सकता निसार और चराग़
हवा-ए-लम्स के झोंके न मार और चराग़
उठा के ताक़ से इक रोज़ फेंक देगा कोई
मिरा वजूद तिरा इंतिज़ार और चराग़
सफ़र को याद रहेगा हमारा रख़्त-ए-सफ़र
ये सुर्ख़ आबले गर्द-ओ-ग़ुबार और चराग़
तो जान लेना कि फिर इम्तिहान-ए-दोस्ती है
अगर बुझाया गया एक बार और चराग़
तिरी जुदाई में इक दूसरे को तकते हैं
तमाम रात रुख़-ए-अश्क-बार और चराग़
वजूद-ए-वक़्त पे तज़ईन-ए-शब के ज़ेवर हैं
हमारी नींद हसीं ख़्वाब-ज़ार और चराग़
क़दीम वक़्तों से इक दूसरे के यार हैं ये
कभी बिछड़ नहीं सकते मज़ार और चराग़
समाँ बनाते हैं शब का सफ़ेद चेहरों पर
सियाह रंग के गहरे हिसार और चराग़
नवेद-ए-सुब्ह के इम्काँ में चल बसे दोनों
शब-ए-शिकस्त का गिर्या-गुज़ार और चराग़
शब-ए-सुकूत में ‘शीरान’ महव-ए-रक़्स हैं सब
धुआँ अंधेरा हवा-ए-ख़ुमार और चराग़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Shiran
our suggestion based on Ali Shiran
As you were reading Safar Shayari Shayari