abhi mile hi nahin the mujhe suraagh mere | अभी मिले ही नहीं थे मुझे सुराग़ मिरे

  - Ali Shiran

abhi mile hi nahin the mujhe suraagh mere
hawaaye waqt ne gul kar diye charaagh mere

falak shu'ur pe ghalib zameen jibillat par
khala samete hue hain dil-o-dimaagh mere

sanbhaal rakkhegi aulaad aakhirsh kab tak
qalam davaat kitaaben bujhe charaagh mare

gira diya tiri ta'aamir ne mera sab kuchh
na gaav gaav raha aur na baagh baagh mere

qadam-qadam pe milenge lahu ke khushk nishaan
bhatkne denge na aindagaan ko daagh mere

अभी मिले ही नहीं थे मुझे सुराग़ मिरे
हवाए वक़्त ने गुल कर दिए चराग़ मिरे

फ़लक शुऊ'र पे ग़ालिब ज़मीं जिबिल्लत पर
ख़ला समेटे हुए हैं दिल-ओ-दिमाग़ मिरे

सँभाल रक्खेगी औलाद आख़िरश कब तक
क़लम दवात किताबें बुझे चराग़ मरे

गिरा दिया तिरी ता'मीर ने मिरा सब कुछ
न गाँव गाँव रहा और न बाग़ बाग़ मिरे

क़दम-क़दम पे मिलेंगे लहू के ख़ुश्क निशाँ
भटकने देंगे न आइंदगाँ को दाग़ मिरे

  - Ali Shiran

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Shiran

As you were reading Shayari by Ali Shiran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Shiran

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari