kya ye maqtool ki aulaad ki tauheen nahin | क्या ये मक़्तूल की औलाद की तौहीन नहीं

  - Ali Shiran

kya ye maqtool ki aulaad ki tauheen nahin
ek bhi shakhs bhare shehar mein ghamgeen nahin

dosti wajh-e-aziyyat bhi hua karti hai
jaise main tere liye bai's-e-taskin nahin

main ne din-raat ko har rang mein dhalti dekha
koi rukh waqt ki tasveer ka rangeen nahin

ajnabi soch ke aana meri mitti ki taraf
kurra-e-arz ka har mulk filisteen nahin

roz lagte hain bhale mujh ko hazaaron chehre
dil ki takleef ka bais koi do teen nahin

kuchh taghayyur mein agar hai to dikha aankhon ko
zindagi main tire din-raat ka shauqeen nahin

क्या ये मक़्तूल की औलाद की तौहीन नहीं
एक भी शख़्स भरे शहर में ग़मगीन नहीं

दोस्ती वज्ह-ए-अज़िय्यत भी हुआ करती है
जैसे मैं तेरे लिए बाइ'स-ए-तस्कीन नहीं

मैं ने दिन-रात को हर रंग में ढलते देखा
कोई रुख़ वक़्त की तस्वीर का रंगीन नहीं

अजनबी सोच के आना मिरी मिट्टी की तरफ़
कुर्रा-ए-अर्ज़ का हर मुल्क फ़िलिस्तीन नहीं

रोज़ लगते हैं भले मुझ को हज़ारों चेहरे
दिल की तकलीफ़ का बाइ'स कोई दो तीन नहीं

कुछ तग़य्युर में अगर है तो दिखा आँखों को
ज़िंदगी मैं तिरे दिन-रात का शौक़ीन नहीं

  - Ali Shiran

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Shiran

As you were reading Shayari by Ali Shiran

Similar Writers

our suggestion based on Ali Shiran

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari