khwaab ka khwaab haqeeqat ki haqeeqat samjhen
ye samajhna hai to phir pehle tareeqat samjhen
main jawaaban bhi jinhen gaali nahin deta vo log
meri jaanib se ise khaas mohabbat samjhen
main to mar kar bhi na bechoonga kabhi yaar ka naam
aap taajir hain numaish ko ibadat samjhen
main kisi beech ke raaste se nahin pahuncha yahan
haasido se ye guzarish hai riyaazat samjhen
mera be-saakhta-pan un ke liye khatra hai
saakhta log mujhe kyun na museebat samjhen
facebook waqt agar de to ye pyaare bacche
apne khaamosh buzurgon ki shikaayat samjhen
pesh karta hoon main khud apni giriftaari ali
un se kehna ki mujhe zer-e-hiraasat samjhen
ख़्वाब का ख़्वाब हक़ीक़त की हक़ीक़त समझें
ये समझना है तो फिर पहले तरीक़त समझें
मैं जवाबन भी जिन्हें गाली नहीं देता वो लोग
मेरी जानिब से इसे ख़ास मोहब्बत समझें
मैं तो मर कर भी न बेचूँगा कभी यार का नाम
आप ताजिर हैं नुमाइश को इबादत समझें
मैं किसी बीच के रस्ते से नहीं पहुँचा यहाँ
हासिदों से ये गुज़ारिश है रियाज़त समझें
मेरा बे-साख़्ता-पन उन के लिए ख़तरा है
साख़्ता लोग मुझे क्यूँ न मुसीबत समझें
फेसबुक वक़्त अगर दे तो ये प्यारे बच्चे
अपने ख़ामोश बुज़ुर्गों की शिकायत समझें
पेश करता हूँ मैं ख़ुद अपनी गिरफ़्तारी 'अली'
उन से कहना कि मुझे ज़ेर-ए-हिरासत समझें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Zaryoun
our suggestion based on Ali Zaryoun
As you were reading Fantasy Shayari Shayari