tere aage sar-kashi dikhlaaoonga | तेरे आगे सर-कशी दिखलाउँगा? - Ali Zaryoun

tere aage sar-kashi dikhlaaoonga
tu to jo kah de wahi ban jaaunga

ai zaboori phool ai neele gulaab
mat khafa ho main dobara aaunga

saath sadiyaan saath raatein saath din
ik paheli hai kise samjhaaoonga

yaar ho jaaye sahi tujh se mujhe
tere qabze se tujhe chhudvaaoonga

tum bahut ma'soom ladki ho tumhein
nazm bhejoonga dua pahnaaoonga

koi dariya hai na jungle aur na baagh
main yahan bilkul nahin rah paaoonga

yaad karvaaoonga tujh ko tere zakham
teri saari ne'ematein ginvaaoonga

chhodna us ke liye mushkil na ho
mujh se mat kehna main ye kar jaaunga

main ali'-zaryoon hoon kaafi hai ye
main zafar-iqbaal kyun ban jaaunga

तेरे आगे सर-कशी दिखलाउँगा?
तू तो जो कह दे वही बन जाऊँगा

ऐ ज़बूरी फूल ऐ नीले गुलाब
मत ख़फ़ा हो मैं दोबारा आऊँगा

सात सदियाँ सात रातें सात दिन
इक पहेली है किसे समझाऊँगा

यार हो जाए सही तुझ से मुझे
तेरे क़ब्ज़े से तुझे छुड़वाऊंगा

तुम बहुत मा'सूम लड़की हो तुम्हें
नज़्म भेजूँगा दुआ पहनाऊँगा

कोई दरिया है न जंगल और न बाग़
मैं यहाँ बिल्कुल नहीं रह पाऊँगा

याद करवाउँगा तुझ को तेरे ज़ख़्म
तेरी सारी ने'मतें गिनवाउँगा

छोड़ना उस के लिए मुश्किल न हो
मुझ से मत कहना मैं ये कर जाऊँगा

मैं 'अली'-ज़र्यून हूँ काफ़ी है ये
मैं ज़फ़र-इक़बाल क्यूँ बन जाऊँगा

- Ali Zaryoun
14 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari