diya munder pe dil ki jala rahi hoon main
hawaa-mizaaj ko waapas bula rahi hoon main
mujhe kisi ke bhi jaane se dukh nahin hota
na jaane kis liye aansu baha rahi hoon main
ye teri marzi ki aaye na aaye waapas tu
nizaam-e-dil ko to dil se chala rahi hoon main
isee charaagh se har samt raushni hogi
jala hai dil to diye sab bujha rahi hoon main
jo haath aaj mujhe thaamte nahin hain shabee
gaye dinon mein to un ki dua rahi hoon main
दिया मुंडेर पे दिल की जला रही हूँ मैं
हवा-मिज़ाज को वापस बुला रही हूँ मैं
मुझे किसी के भी जाने से दुख नहीं होता
न जाने किस लिए आँसू बहा रही हूँ मैं
ये तेरी मर्ज़ी कि आए न आए वापस तू
निज़ाम-ए-दिल को तो दिल से चला रही हूँ मैं
इसी चराग़ से हर सम्त रौशनी होगी
जला है दिल तो दिए सब बुझा रही हूँ मैं
जो हाथ आज मुझे थामते नहीं हैं 'शबी
गए दिनों में तो उन की दुआ रही हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Almas Shabi
our suggestion based on Almas Shabi
As you were reading Dua Shayari Shayari