jaane kis mod par main ne dekha nahin | जाने किस मोड़ पर मैं ने देखा नहीं - Almas Shabi

jaane kis mod par main ne dekha nahin
mud gaya hum-safar main ne dekha nahin

tum ko maaloom ho to bataana mujhe
rah gai main kidhar main ne dekha nahin

waqt ki seedhiyaan chadhte dekha use
vo gaya phir kidhar main ne dekha nahin

le ke aaya tha mere liye raushni
jab gaya chhod kar main ne dekha nahin

mil hi jaati kabhi koi manzil mujhe
ik qadam laut kar main ne dekha nahin

tum gaye saath us ke jidhar bhi kahi
tum samajhna udhar main ne dekha nahin

pyaar hai kis qadar us ko mujh se shabee
choodiyaan tod kar main ne dekha nahin

जाने किस मोड़ पर मैं ने देखा नहीं
मुड़ गया हम-सफ़र मैं ने देखा नहीं

तुम को मालूम हो तो बताना मुझे
रह गई मैं किधर मैं ने देखा नहीं

वक़्त की सीढ़ियाँ चढ़ते देखा उसे
वो गया फिर किधर मैं ने देखा नहीं

ले के आया था मेरे लिए रौशनी
जब गया छोड़ कर मैं ने देखा नहीं

मिल ही जाती कभी कोई मंज़िल मुझे
इक क़दम लौट कर मैं ने देखा नहीं

तुम गए साथ उस के जिधर भी कहीं
तुम समझना उधर मैं ने देखा नहीं

प्यार है किस क़दर उस को मुझ से 'शबी
चूड़ियाँ तोड़ कर मैं ने देखा नहीं

- Almas Shabi
0 Likes

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Almas Shabi

As you were reading Shayari by Almas Shabi

Similar Writers

our suggestion based on Almas Shabi

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari