gham hasi mein chhupa diya hoga | ग़म हँसी में छुपा दिया होगा - Almas Shabi

gham hasi mein chhupa diya hoga
chashm-e-nam ne bata diya hoga

bhool jaane ki us ko aadat thi
us ne mujh ko bhula diya hoga

ek khat tha suboot chaahat ka
vo bhi us ne jala diya hoga

raat chupke se le udri thi hawa
raaz dil ka bata diya hoga

hijr ke maare dil ko bhi us ne
jaane kaise sula diya hoga

phir bulaaya hai aaj naaseh ne
gul kisi ne khila diya hoga

hai yaqeen mujh ko zikr par mere
vo faqat muskuraa diya hoga

ग़म हँसी में छुपा दिया होगा
चश्म-ए-नम ने बता दिया होगा

भूल जाने की उस को आदत थी
उस ने मुझ को भुला दिया होगा

एक ख़त था सुबूत चाहत का
वो भी उस ने जला दिया होगा

रात चुपके से ले उड़ी थी हवा
राज़ दिल का बता दिया होगा

हिज्र के मारे दिल को भी उस ने
जाने कैसे सुला दिया होगा

फिर बुलाया है आज नासेह ने
गुल किसी ने खिला दिया होगा

है यक़ीं मुझ को ज़िक्र पर मेरे
वो फ़क़त मुस्कुरा दिया होगा

- Almas Shabi
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Almas Shabi

As you were reading Shayari by Almas Shabi

Similar Writers

our suggestion based on Almas Shabi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari