tere pahluu mein jee rahi thi kabhi | तेरे पहलू में जी रही थी कभी - Almas Shabi

tere pahluu mein jee rahi thi kabhi
zindagi meri zindagi thi kabhi

baarishon par meri na jaao tum
aag andar kahi lagi thi kabhi

yaad kar ke main hans rahi hoon aaj
main bhi tere liye dukhi thi kabhi

vo bhi din the ki main yahi duniya
teri aankhon se dekhti thi kabhi

yaad hoga abhi talak tujh ko
main bhi teri hi zindagi thi kabhi

mujh ko qaail na kar daleelon se
main bhi taqdeer se ladi thi kabhi

ab kabhi mud ke dekhti hi nahin
dil ki dahleez pe khadi thi kabhi

तेरे पहलू में जी रही थी कभी
ज़िंदगी मेरी ज़िंदगी थी कभी

बारिशों पर मिरी न जाओ तुम
आग अंदर कहीं लगी थी कभी

याद कर के मैं हँस रही हूँ आज
मैं भी तेरे लिए दुखी थी कभी

वो भी दिन थे कि मैं यही दुनिया
तेरी आँखों से देखती थी कभी

याद होगा अभी तलक तुझ को
मैं भी तेरी ही ज़िंदगी थी कभी

मुझ को क़ाइल न कर दलीलों से
मैं भी तक़दीर से लड़ी थी कभी

अब कभी मुड़ के देखती ही नहीं
दिल की दहलीज़ पे खड़ी थी कभी

- Almas Shabi
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Almas Shabi

As you were reading Shayari by Almas Shabi

Similar Writers

our suggestion based on Almas Shabi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari