lage jab subah ki kashti kinaare shab | लगे जब सुबह की कश्ती किनारे शब

  - Almas Shabi

lage jab subah ki kashti kinaare shab
kiya karti hai jaane kya ishaare shab

nahin shikwa magar itna bata do tum
koi tum bin bhala kaise guzaare shab

chhuda kar haath duniya se meri khaatir
chale aao jahaan ho tum pukaare shab

zara socho ye kis ke vaaste apne
liye phirti hai daaman mein sitaare shab

utha ke ranj-o-gham saare zamaane ke
mere dil pe na jaane kyun utaare shab

लगे जब सुबह की कश्ती किनारे शब
किया करती है जाने क्या इशारे शब

नहीं शिकवा मगर इतना बता दो तुम
कोई तुम बिन भला कैसे गुज़ारे शब

छुड़ा कर हाथ दुनिया से मिरी ख़ातिर
चले आओ जहाँ हो तुम पुकारे शब

ज़रा सोचो ये किस के वास्ते अपने
लिए फिरती है दामन में सितारे शब

उठा के रंज-ओ-ग़म सारे ज़माने के
मिरे दिल पे न जाने क्यूँ उतारे शब

  - Almas Shabi

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Almas Shabi

As you were reading Shayari by Almas Shabi

Similar Writers

our suggestion based on Almas Shabi

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari