anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab | अंजुमन में जो मिरी इतनी ज़िया है साहब

  - Alok Yadav

anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab
khoon-e-dil mere charaagon ki ghiza hai sahab

but-shikan nikla wahi samjha tha jis ko but-gar
jis mein rehta tha wahi tod gaya hai sahab

aankh se aansu chura le gaya lekin vo shakhs
be-guhar seep yahin chhod gaya hai sahab

mujh ko jannat ke nazaare bhi nahin jachte hain
shahr-e-jaanaan hi tasavvur mein basa hai sahab

regzaaron ke safar pe jo chale ho khuddaar
koi aankhon mein liye ashk khada hai sahab

अंजुमन में जो मिरी इतनी ज़िया है साहब
ख़ून-ए-दिल मेरे चराग़ों की ग़िज़ा है साहब

बुत-शिकन निकला वही समझा था जिस को बुत-गर
जिस में रहता था वही तोड़ गया है साहब

आँख से आँसू चुरा ले गया लेकिन वो शख़्स
बे-गुहर सीप यहीं छोड़ गया है साहब

मुझ को जन्नत के नज़ारे भी नहीं जचते हैं
शहर-ए-जानाँ ही तसव्वुर में बसा है साहब

रेगज़ारों के सफ़र पे जो चले हो 'आलोक',
कोई आँखों में लिए अश्क खड़ा है साहब

  - Alok Yadav

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alok Yadav

As you were reading Shayari by Alok Yadav

Similar Writers

our suggestion based on Alok Yadav

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari