andhera cheerte aaye bahut hain | अँधेरा चीरते आए बहुत हैं

  - Aman Musafir

andhera cheerte aaye bahut hain
tumhaari yaad ke saaye bahut hain

gulaabi hont aur aankhen nasheeli
ye dhoke hamne bhi khaaye bahut hain

akela ham nahin pahunchen yahan tak
teri aankhon ke bharamaaye bahut hain

tere aanchal se lipate ye sitaare
mere choone pe sharmaae bahut hain

padha itihaas to phir ye bhi jaana
muhabbat ne sitam dhaaye bahut hain

अँधेरा चीरते आए बहुत हैं
तुम्हारी याद के साए बहुत हैं

गुलाबी होंठ और आँखें नशीली
ये धोखे हमने भी खाए बहुत हैं

अकेले हम नहीं पहुँचे यहाँ तक
तेरी आँखों के भरमाए बहुत हैं

तेरे आँचल से लिपटे ये सितारे
मेरे छूने पे शरमाए बहुत हैं

पढ़ा इतिहास तो फिर ये भी जाना
मुहब्बत ने सितम ढाए बहुत हैं

  - Aman Musafir

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Musafir

As you were reading Shayari by Aman Musafir

Similar Writers

our suggestion based on Aman Musafir

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari