jaane kisne aag lagaaee paani mein
hamne poori raat bitaai paani mein
sabne apne sapne dekhe aur hamein
ik chehra bas diya dikhaai paani mein
doob samandar ke andar mujh pyaase ne
paani ki tasveer banaai paani mein
saare pashchaataap nadi mein kood gaye
usne jab hunkaar uthaai paani mein
thoda thoda zehar milaaya tha sabne
hamne shakkar khoob milaai paani mein
जाने किसने आग लगाई पानी में
हमने पूरी रात बिताई पानी में
सबने अपने सपने देखे और हमें
इक चेहरा बस दिया दिखाई पानी में
डूब समंदर के अंदर मुझ प्यासे ने
पानी की तस्वीर बनाई पानी में
सारे पश्चाताप नदी में कूद गए
उसने जब हुँकार उठाई पानी में
थोड़ा थोड़ा ज़हर मिलाया था सबने
हमने शक्कर ख़ूब मिलाई पानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Musafir
our suggestion based on Aman Musafir
As you were reading Kashti Shayari Shayari