jab bhi vo mujhse sharmane lagti hai
aankhon par phir haath lagaane lagti hai
main bhi usko khoob dilaata hoon gussa
nibhaiye mein vo hoth chabaane lagti hai
uski aankhon mein sannaata rehta hai
khaamoshi sab raaz bataane lagti hai
jab bhi main apne kamre mein jaata hoon
tanhaai aawaaz lagaane lagti hai
jab bhi aag lagata hoon main cigarette ko
zimmedaari aankh dikhaane lagti hai
जब भी वो मुझसे शर्माने लगती है
आँखों पर फिर हाथ लगाने लगती है
मैं भी उसको ख़ूब दिलाता हूँ ग़ुस्सा
ग़ुस्से में वो होठ चबाने लगती है
उसकी आँखों में सन्नाटा रहता है
ख़ामोशी सब राज़ बताने लगती है
जब भी मैं अपने कमरे में जाता हूँ
तन्हाई आवाज़ लगाने लगती है
जब भी आग लगाता हूँ मैं सिगरेट को
जिम्मेदारी आँख दिखाने लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Musafir
our suggestion based on Aman Musafir
As you were reading Nigaah Shayari Shayari