mohabbat ka gulshan sajaane lage hain
ham apni wafa ko nibhaane lage hain
uthi thi jo deewaar nafrat ki dil mein
use rafta rafta girane lage hain
jhuka kar jo nazrein the khamosh baithe
wahi dard apna bataane lage hain
jinhen pyaar ke phool ham ne the bheje
wahi dil pe khanjar chalaane lage hain
khabar jin ko aibon ki apne nahin hai
wahi mujh pe tohmat lagaane lage hain
unhen kah raha hai zamaana ye joker
jo ro kar ke sab ko hansaane lage hain
mile hain vo jab se musaafir na jaane
mujhe dekh kar muskuraane lage hain
मोहब्बत का गुलशन सजाने लगे हैं
हम अपनी वफ़ा को निभाने लगे हैं
उठी थी जो दीवार नफ़रत की दिल में
उसे रफ़्ता रफ़्ता गिराने लगे हैं
झुका कर जो नज़रें थे ख़मोश बैठे
वही दर्द अपना बताने लगे हैं
जिन्हें प्यार के फूल हम ने थे भेजे
वही दिल पे ख़ंजर चलाने लगे हैं
ख़बर जिन को ऐबों की अपने नहीं है
वही मुझ पे तोहमत लगाने लगे हैं
उन्हें कह रहा है ज़माना ये जोकर
जो रो कर के सब को हँसाने लगे हैं
मिले हैं वो जब से 'मुसाफ़िर' न जाने
मुझे देख कर मुस्कुराने लगे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Musafir
our suggestion based on Aman Musafir
As you were reading Nature Shayari Shayari