jab se maajhi ne dushmani kar li
ham ne navo se dosti kar li
bhookh khwaabon pe pad gai bhari
ghar se bhaage to naukri kar li
dekh kar us ki aankh mein paani
ek dariya ne khud-kushi kar li
baat rakh kar ke saamne sab ke
baat apni hi phir buri kar li
ham na uth paayenge sehar hote
us ne khaabo mein waapsi kar li
जब से माझी ने दुश्मनी कर ली
हम ने नावों से दोस्ती कर ली
भूख ख़्वाबों पे पड़ गई भारी
घर से भागे तो नौकरी कर ली
देख कर उस की आँख में पानी
एक दरिया ने ख़ुद-कुशी कर ली
बात रख कर के सामने सब के
बात अपनी ही फिर बुरी कर ली
हम न उठ पायेंगे सहर होते
उस ने ख़्वाबों में वापसी कर ली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Musafir
our suggestion based on Aman Musafir
As you were reading Nadii Shayari Shayari