mitaata hi raha khud ko rulaata hi raha khud ko
jala kar khat mohabbat ke bujhaata hi raha khud ko
chala kar phone mein shab bhar kahi jagjeet ki ghazlein
laga kar kash main cigarette ke jalata hi raha khud ko
hua jo qatl khwaabon ka baha aansu ka jo dariya
to phir namkeen paani mein dubota hi raha khud ko
vo sha'ir tha ya deewaana ya koi gham ka maara tha
akela shakhs tha aisa jo gaata hi raha khud ko
jo toota dil musaafir ka to karke band kamre ko
tarannum mein ghazal padh kar sunaata hi raha khud ko
मिटाता ही रहा ख़ुद को रुलाता ही रहा ख़ुद को
जला कर ख़त मोहब्बत के बुझाता ही रहा ख़ुद को
चला कर फ़ोन में शब भर कहीं जगजीत की ग़ज़लें
लगा कर कश मैं सिगरेट के जलाता ही रहा ख़ुद को
हुआ जो क़त्ल ख़्वाबों का बहा आँसू का जो दरिया
तो फिर नमकीन पानी में डुबोता ही रहा ख़ुद को
वो शाइ'र था या दीवाना या कोई ग़म का मारा था
अकेला शख़्स था ऐसा जो गाता ही रहा ख़ुद को
जो टूटा दिल 'मुसाफ़िर' का तो करके बंद कमरे को
तरन्नुम में ग़ज़ल पढ़ कर सुनाता ही रहा ख़ुद को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Musafir
our suggestion based on Aman Musafir
As you were reading Dard Shayari Shayari