raah-e-hasti ke har ik mod se bach kar nikle
ahl-e-danish se to deewane hi behtar nikle
waqt ki tez hawaon ne ajab mod liya
phool se haath jo the un mein bhi patthar nikle
teri yaadon ke sahaare jo guzaare ham ne
vo hi lamhaat faqat apna muqaddar nikle
ham ne ghairoon ke bhi ashkon ko liya daaman par
chahe khud gham ke samundar mein naha kar nikle
un ki fariyaad ka aahon ka asar hoga
apne haathon se jo ghar apna jala kar nikle
gham zamaane ki jafaon ka karein kya khaalid
jab garebaan hi kaanton se saja kar nikle
राह-ए-हस्ती के हर इक मोड़ से बच कर निकले
अहल-ए-दानिश से तो दीवाने ही बेहतर निकले
वक़्त की तेज़ हवाओं ने अजब मोड़ लिया
फूल से हाथ जो थे उन में भी पत्थर निकले
तेरी यादों के सहारे जो गुज़ारे हम ने
वो ही लम्हात फ़क़त अपना मुक़द्दर निकले
हम ने ग़ैरों के भी अश्कों को लिया दामन पर
चाहे ख़ुद ग़म के समुंदर में नहा कर निकले
उन की फ़रियाद का आहों का असर होगा
अपने हाथों से जो घर अपना जला कर निकले
ग़म ज़माने की जफ़ाओं का करें क्या 'ख़ालिद'
जब गरेबान ही काँटों से सजा कर निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanullah Khalid
our suggestion based on Amanullah Khalid
As you were reading Nature Shayari Shayari