ghar apna waadi-e-bark-o-sharar mein rakha jaaye
ta'alluqaat ka sauda na sar mein rakha jaaye
agar talab ho kabhi chand ghoont paani ki
samundron ka tasavvur nazar mein rakha jaaye
suna hai dukhtar-e-tehzeeb ghar se bhag gai
chhupa ke bacchon ko hargiz na ghar mein rakha jaaye
pata nahin ki kahaan rahzano ki ho yalghaar
koi difaa bhi rakht-e-safar mein rakha jaaye
batao kaise milegi hamein saheeh ta'beer
jab apna khwaab hi chashm-e-digar mein rakha jaaye
lo ab to ham bhi hawaon ke saath chalne lage
hamaara naam bhi ahl-e-hunr mein rakha jaaye
kitaab zeest mein baab-e-alam bhi ho mahfooz
siyaah-raat ka manzar sehar mein rakha jaaye
qafas ko le ke jo uda jaaye gulistaan ki taraf
vo azm taa'ir-e-be-baal-o-par mein rakha jaaye
घर अपना वादी-ए-बर्क़-ओ-शरर में रक्खा जाए
तअ'ल्लुक़ात का सौदा न सर में रक्खा जाए
अगर तलब हो कभी चंद घूँट पानी की
समुंदरों का तसव्वुर नज़र में रक्खा जाए
सुना है दुख़्तर-ए-तहज़ीब घर से भाग गई
छुपा के बच्चों को हरगिज़ न घर में रक्खा जाए
पता नहीं कि कहाँ रह-ज़नों की हो यलग़ार
कोई दिफ़ाअ' भी रख़्त-ए-सफ़र में रक्खा जाए
बताओ कैसे मिलेगी हमें सहीह ता'बीर
जब अपना ख़्वाब ही चश्म-ए-दिगर में रक्खा जाए
लो अब तो हम भी हवाओं के साथ चलने लगे
हमारा नाम भी अहल-ए-हुनर में रक्खा जाए
किताब ज़ीस्त में बाब-ए-अलम भी हो महफ़ूज़
सियाह-रात का मंज़र सहर में रक्खा जाए
क़फ़स को ले के जो उड़ा जाए गुलिस्ताँ की तरफ़
वो अज़्म ताइर-ए-बे-बाल-ओ-पर में रक्खा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanullah Khalid
our suggestion based on Amanullah Khalid
As you were reading Eid Shayari Shayari