zameen jaise ki aatish-fishaan ko saath liye | ज़मीं जैसे की आतिश-फ़िशाँ को साथ लिए

  - Amanullah Khalid

zameen jaise ki aatish-fishaan ko saath liye
yun jee raha hoon main dard-e-nihaan ko saath liye

hua shikaar siyaasat ka ab ke mausam bhi
bahaar aayi hai lekin khizaan ko saath liye

ruko to yun ki thehar jaaye gardish-e-dauraan
chalo to aise ki saare jahaan ko saath liye

nafs nafs hain ujaale hazaar karb liye
har ek raat hai ik dastaan ko saath liye

kise zameen ke masaail ki fikr ho khaalid
har ik nazar hai yahan aasmaan ko saath liye

ज़मीं जैसे की आतिश-फ़िशाँ को साथ लिए
यूँ जी रहा हूँ मैं दर्द-ए-निहाँ को साथ लिए

हुआ शिकार सियासत का अब के मौसम भी
बहार आई है लेकिन ख़िज़ाँ को साथ लिए

रुको तो यूँ कि ठहर जाए गर्दिश-ए-दौराँ
चलो तो ऐसे कि सारे जहाँ को साथ लिए

नफ़स नफ़स हैं उजाले हज़ार कर्ब लिए
हर एक रात है इक दास्ताँ को साथ लिए

किसे ज़मीं के मसाइल की फ़िक्र हो 'ख़ालिद'
हर इक नज़र है यहाँ आसमाँ को साथ लिए

  - Amanullah Khalid

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanullah Khalid

As you were reading Shayari by Amanullah Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Amanullah Khalid

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari