kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsaasaat ke naam | कुछ सोचों के कुछ फ़िक्रों के कुछ थे एहसासात के नाम

  - Amanullah Khalid

kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsaasaat ke naam
jitne bhi patthar aaye sab aaina-e-jazbaat ke naam

un ki nigaahen be-parwa hain kuchh bhi nahin jazbaat ke naam
waqf kiye hain jin logon ne din ke ujaale raat ke naam

tapte hue sehra mein jaise shabnam ki be-rang numood
jaane kitne khat likkhe hain main ne bhi barsaat ke naam

waqt ke honton pe raksaan hain masti ka ik raag liye
subh-e-qayamat ke hangaame husn-e-maujoodaat ke naam

mauj-e-sukoon ke saath mile zanjeer-e-alam be-taabi-e-dil
ham ne kitni daulat paai ulfat ki sougaat ke naam

un ki tamannaa meri koshish baaham wa'de aur qasmen
kuchh meri taqdeer ke sadqe baaki sab haalaat ke naam

saji hui hai adab ki mehfil haal ke aise nagmon se
be-maqsd be-kaif kitaaben husn-e-takhleeqaat ke naam

hasrat-o-armaan bazm-e-tasavvur daaman-e-sehra dast-e-junoon
khushiyon ke paighaam hain khaalid gham ke haseen lamhaat ke naam

कुछ सोचों के कुछ फ़िक्रों के कुछ थे एहसासात के नाम
जितने भी पत्थर आए सब आईना-ए-जज़बात के नाम

उन की निगाहें बे-परवा हैं कुछ भी नहीं जज़्बात के नाम
वक़्फ़ किए हैं जिन लोगों ने दिन के उजाले रात के नाम

तपते हुए सहरा में जैसे शबनम की बे-रंग नुमूद
जाने कितने ख़त लिक्खे हैं मैं ने भी बरसात के नाम

वक़्त के होंटों पे रक़्साँ हैं मस्ती का इक राग लिए
सुब्ह-ए-क़यामत के हंगामे हुस्न-ए-मौजूदात के नाम

मौज-ए-सुकूँ के साथ मिले ज़ंजीर-ए-अलम बे-ताबी-ए-दिल
हम ने कितनी दौलत पाई उल्फ़त की सौग़ात के नाम

उन की तमन्ना मेरी कोशिश बाहम वा'दे और क़स्में
कुछ मेरी तक़दीर के सदक़े बाक़ी सब हालात के नाम

सजी हुई है अदब की महफ़िल हाल के ऐसे नग़्मों से
बे-मक़्सद बे-कैफ़ किताबें हुस्न-ए-तख़लीक़ात के नाम

हसरत-ओ-अरमाँ बज़्म-ए-तसव्वुर दामन-ए-सहरा दस्त-ए-जुनूँ
ख़ुशियों के पैग़ाम हैं 'ख़ालिद' ग़म के हसीं लम्हात के नाम

  - Amanullah Khalid

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanullah Khalid

As you were reading Shayari by Amanullah Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Amanullah Khalid

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari